nigah-e-sharmagin se jab mohabbat bat rahi hogi na jaane us ghadi kis kis ki bigdi ban gai hogi wo aalam kaun sa hoga wo duniya kaun si hogi jahan hadd-e-nazar tak zindagi hi zindagi hogi isi surat se shayad zindagi-e-gham sanwar jae mere haq mein tumhaari dushmani bhi dosti hogi mujhe barbaad kar ke bhi na hogi mehrban mujh par khabar kya thi nigah-e-naz itni matlabi hogi taghaful ka tumhaare ab yahi anjam hona hai tamasha meri barbaadi ka duniya dekhti hogi tasawwur se bhi us ke kanpne lagta hai dil mera judai ki ghadi bhi kis qayamat ki ghadi hogi wahi waqt hoga ai 'sahir' wafa ki kaamyabi ka har ek shai mein unhen mahsus jab meri kami hogi