nigah-e-qahr hogi ya mohabbat ki nazar hogi maza de jaegi dil se agar ai sim-bar hogi tumhein jaldi hai kya jaana abhi to raat baqi hai na ghabrao zara thahro koi dam mein sahar hogi abhi se sare aalam mein to ek andher barpa hai na jaane kya ghazab dhaegi jab ye ta-kamar hogi na laegi to kya bechain bhi un ko na kar degi hamari aah kya kam-bakht itni be-asar hogi hum us ko dekh lenge aur wo hum ko na dekhegi nigah-e-yar kya mahfil mein itni be-khabar hogi chala jata to hun main bahrup ban kar un ki mahfil mein kahunga kya rasai gar kahin munh dekh kar hogi nigah-e-lutf se dekhega mujh ko ek jahan to kya agar tum dekh loge meri qismat arsh par hogi asiri mein bhi yaad-e-gul karegi is tarah bulbul qafas ke dar pe sar hoga, su-e-gulshan nazar hogi jo be-jurmi pe bhi 'bismil' ko tum ne kar diya bismil bataoge bhala kya hashr mein pursish agar hogi