sochta hun ki wo kaisa hoga aaina hoga ki chehra hoga jab khuli hoti tere dosh pe zulf abr bhi tut ke barsa hoga jis ke jalwon ki koi had hi nahin main ne kitna use chaha hoga log firdaus jise kahte hain is zamin ka koi tukda hoga jam kyon hath se gir jata hai mai-kade mein koi pyasa hoga mahfilen karti hain khud us ka tawaf kaun kahta hai wo tanha hoga us ki mahfil mein chale ho to 'ziya' dida-o-dil pe bhi pahra hoga