nigah-e-shauq agar dil ki tarjuman ho jae to zarra zarra mohabbat ka raaz-dan ho jae phir is ke ranj-o-gham o dagh ki had hai koi jo is jahan mein ghadi bhar ko shadman ho jae kasi se kya gila-e-jaur-e-asman kije ki jis zamin pe rahen hum wo aasman ho jae 'haya' thikana bhi kuchh aisi dard-mandi ka ki lab tak aae na ek harf aur fughan ho jae