nigah-e-shauq mein khwabon ka ek samundar tha khuli jo aankh to main hadse ki zad par tha tamam umr main bahar talash karne se khud apni zat mein main jhankta to behtar tha salib par use kis jurm mein chadhaya gaya wo ek shakhs jo rahbar tha na payambar tha kisi bhi jang mein us ne nahin fath pai ye aur baat ki wo waqt ka sikandar tha jaga saki na kisi ko hamari chikh kabhi hamare ahd ka har shakhs goya patthar tha tamam umr meri khauf mein kati 'naqwi' jahan qiyam tha mera wo kanch ka ghar tha