nigah-e-shauq se husn-e-gul-o-gulzar to dekh aankhen khul jaengi ye manzar-e-didar to dekh paikar-e-shahid-e-hasti mein hai ek aanch nai lazzat-e-did utha shola-e-rukhsar to dekh shokhi-e-naqsh koi hadsa-e-waqt nahin moajaza-e-kari-e-khun-e-dil-e-fankar to dekh har dukan apni jagah hairat-e-nazzara hai fikr-e-insan ke sajae hue bazar to dekh ban gae gard-e-safar qafile aawazon ke aadam-e-nau ki zara garmi-e-raftar to dekh munqalib ho gaya paimana-e-har-bast-o-buland dekh kar apni taraf jaanib-e-kohsar to dekh nae aahang se ab naghma-sara hai 'akbar' fikr ke sath zara shokhi-e-guftar to dekh