kul aalam-e-wajud ki ek dasht-e-nur tha sara hijab tira-dili ka qusur tha samjhe the johd-e-ishq mein hum surkh-ru hue dekha magar to shisha-e-dil chur chur tha pahunche na yun hi manzil-e-izhaar-e-zat tak taht-e-shuur ek safar-e-la-shuur tha tha jo qarib us ko basirat na thi nasib jo dekhta tha mujh ko bahut mujh se dur tha mubham the sab nuqush naqabon ki dhund mein chehra ek aur bhi pas-e-chehra zarur tha