nigah-e-yar yunhi aur chand paimane ab apne hosh mein aane na paen diwane mohabbat asl mein kya chiz hai khuda jaane dahan mein jitni zabanen hain utne afsane jo ashk-e-surkh hai nama-nigar hai dil ka sukut-e-shab mein likhe ja rahe hain afsane jahan-e-hosh mein ta-hashr tabsire honge zaban mein apni ye kya kah rahe the diwane shugun us nigah-e-mai-farosh se le kar hum aap waza karenge hazar maikhane na puchho aah-e-mohabbat ki rakhna-andazi khuda gawah hai apne hue hain begane har ashk-e-surkh hai daman-e-shab mein aag ka phul baghair shama ke bhi jal rahe hain parwane qadam qadam pe sada-e-shikast-e-tauba hai nisar-e-laghzish-e-saqi hazar paimane fareb-e-husn-e-samaat teri duhai hai haqiqaton ki jagah chhinte hain afsane buland-o-past nazar farq-e-zahiri hai 'siraj' bane to hain inhin aabaadiyon se virane