rote rote tanha chalte girte-padte thak sa gaya hun koi aanchal koi sathi koi sahaara dhund raha hun rang-birange kapdon mein ek majma mele se aaya hai koi chehra un chehron mein tere jaisa dhund raha hun ai gulshan ke rahne walo mein tum ko kya yaad karunga phul nahin to kante bhar do jholi phailae baitha hun pahle khud ko to samjha le auron ko samjhane wale tu bhi khud mein ek aalam hai main bhi khud mein ek duniya hun chanchal begana saudai hansmukh farzana harjai ek zara sa jism hai jis mein chhe chhe 'ashk' liye phirta hun