nigah-e-yas se jo ashk ke gauhar nikalte hain

nigah-e-yas se jo ashk ke gauhar nikalte hain
wo khun-e-arzu se surkh-ru ho kar nikalte hain

harim-e-naz se wo is tarah bahar nikalte hain
ba-har parda ba-har jalwa ba-har manzar nikalte hain

sikhae the jinhon ne ishq ko aadab-e-jaan-bazi
wahi kafir ishaare zindagi-parwar nikalte hain

rasai gosha-e-daman tak un ke kis tarah hogi
tasawwur ki hadon mein bhi jo sharma kar nikalte hain

mujhe yaran-e-sahil daman-e-girdab mein dhundhen
ghariq-e-warta-e-gham kab kinare par nikalte hain

jo aagah-e-rumuz-e-zindagi hain bazm-e-hasti mein
wo aksar aish mein bhi dard ke khugar nikalte hain

charagh-e-rahbari hota hai har ek naqsh-e-pa jin ka
wo salik be-niyaz-e-jada-o-rahbar nikalte hain

wahi har ek jalwa mein tajalli-rez rahte hain
wahi har ek manzar mein pas-e-manzar nikalte hain

kisi ka naqsh-e-pa jab dawat-e-taslim deta hai
tadap kar sajda-ha-e-arzu bahar nikalte hain

'anis' ehsas-e-dard-o-fart-e-mayusi ko kya kahiye
ki ab aansu bhi meri aankh se kamtar nikalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close