jo dil se zamzama-e-nala-e-sahar aae

jo dil se zamzama-e-nala-e-sahar aae
nawed-e-maqdam-e-ijab-e-pur-asar aae

hui hai lazzat-e-duniya-e-dard phir paida
harim-e-dil mein wo darman ko phir utar aae

ilahi josh-e-tamanna ki ye farawani
nigah-e-shauq hijab-e-darun mein dar aae

bhatak ke chal basa aawara-e-junun aakhir
salam us ko agar koi rahbar aae

jabin rahin-e-sujud-e-niyaz hai lekin
muqabla mein kisi ka to sang-e-dar aae

kiye hain jama kuchh ambar dil-faroshon ne
koi ba-sair-e-tamasha-e-rahguzar aae

'anis' manzil-e-hasti ka kya nishan milta
idhar se chaar gae do udhar se gar aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close