nigah ka war tha dil par phadakne jaan lagi chali thi barchhi kisi par kisi ke aan lagi tera zaban se milana zaban jo yaad aaya na hae hae mein talu se phir zaban lagi kisi ke dil ka suno haal dil laga kar tum jo howe dil ko tumhaare bhi mehrban lagi to wo hai mah-jabin misl-e-dida-e-anjum rahe hai teri taraf chashm-e-yak-jahan lagi khuda kare kahe tujh se ye kuchh khuda-lagti ki zulf ai but-e-bad-kesh tere kan lagi udai hirs ne aa kar jahan mein sab ki khak nahin hai kis ko hawa zer-e-asman lagi kisi ki kawish-e-mizhgan se aaj sari raat nahin palak se palak meri ek aan lagi tabah bahr-e-jahan mein thi apni kashti-e-umr so tut-phut ke bare kinare aan lagi tumhaare hath se sine mein dil se ta-ba-jigar sinan o khanjar o paikan ki hai dukan lagi khadang-e-yar mere dil se kis tarah nikle ki us ke sath hai ai 'zauq' meri jaan lagi