nigah koi to tufan mein mehrban si hai har ek mauj samundar ki paedan si hai har ek shakhs ko gahak samajh ke khush rakhna ye zindagi bhi hamari koi dukan si hai main aasman ki tarah muddaton se thahra hun badan mein phir bhi zamin jaisi kuchh thakan si hai dukhon ka kya hai ye aate hain tir ki manind khushi hamesha mere waste kaman si hai qadam sambhaal ke rakhna hasin rahon par phisal gae to phir aage badi dhalan si hai zaban munh mein hamare thi jab ghulam the hum hamare munh mein magar ab to bas zaban si hai ab aae din hi nikalta hai aansuon ka julus hamari aankh musalsal lahuluhan si hai