wo nigahon ko jab badalte hain dil sambhaale nahin sambhalte hain manzilen dur hain kabhi nazdik har qadam fasle badalte hain kaun jaane ki ek tabassum se kitne mafhum-e-gham nikalte hain na guzar itni kaj-rawi se ki log tere naqsh-e-qadam pe chalte hain aag bhi un gharon ko lagti hai jin gharon mein charagh jalte hain jab bhi uthti hai wo nazar 'iqbaal' shama ki tarah dil pighalte hain