nigah kya aur mizha kya ai sanam isko bhi usko bhi

nigah kya aur mizha kya ai sanam is ko bhi us ko bhi
samajhte hain qaza ka tir hum is ko bhi us ko bhi

pade the dil ke pichhe us ko to ghaarat kiya tum ne
raha ab din o iman lo sanam is ko bhi us ko bhi

agar le mol ek bose pe mera den o iman tu
main de dunga tere sar ki qasam is ko bhi us ko bhi

haqiqat mein tafawut kuchh nahin shaikh o barahman mein
suna hai hum ne bharte tera dam is ko bhi us ko bhi

gira deta hai aankhon se meri sumbul ho ya nagin
tumhaari kakul-e-pechan ka kham is ko bhi us ko bhi

kabhi tewari chadhana aur kabhi munh pher kar hansna
tera aashiq samajhta hai sitam is ko bhi us ko bhi

hamari aabru kya aur dil par hausla kaisa
dubo dena ari o chashm-e-nam is ko bhi us ko bhi

kiya iqrar bosa dene ka din galiyan tum ne
faqir-e-ishq hun samjha karam is ko bhi us ko bhi

khat-e-mahbub o pa-e-nama-bar qismat se hath aae
laga aankhon se 'anjum' dam-ba-dam is ko bhi us ko bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close