rang ab yun teri taswir mein bharta jaun tujh pe rang aae main jaan se bhi guzarta jaun wo diya hun ki hawaon se bhi darta jaun fart-e-pindar se phir raqs bhi karta jaun ajab aashob diya mere khuda ne mujh ko ek tamanna-e-masihai mein marta jaun mujh ko jhutlati rahin wo meri munkir aanhken aur main surat-e-khurshid ubharta jaun mere chehre pe na jao ki mera husn hai ye apne likkhe hue lafzon mein nikharta jaun aisi tanhai ka aalam hai ki har shakhs ke pas ek pazirai ki hasrat mein thaharta jaun 'shauq' shaer bhi hun andesha-e-jaan bhi hai mujhe ruh mein shor karun lafz mein darta jaun