nigah o dil bhi qadam ki tarah mila ke chale kis ittihad se rahi rah-e-wafa ke chale wahan se ro ke uthe aur muskura ke chale bala ka gham tha hamin the ki gham chhupa ke chale fasurda-dil the magar bazm ko hansa ke chale kali na tum se khili hum chaman khala ke chale lipat na jae kahin rah pa-e-nazuk se ye aap hath se daman kahan chhuda ke chale tumhin ne dil ke andhere ko di ziya-e-umid tumhin gharib ke ghar ka diya bujha ke chale kisi ko dekhte dekha udas ho gae tum nazar hai koi kahan tak bacha bacha ke chale 'nazir' hun wo sharabi ba-faiz-e-pir-e-mughan nigah dal dun jis par wo ladkhada ke chale