jo hain hawas ke pujari wo mal-o-zar ke liye nahin hai khauf unhen khun ka khun bahane mein tamam ahd-e-jawani guzar gaya yun hi unhen hamein aur hamein un ko aazmane mein kisi se kuchh na kahenge hon lakh gham ab to bahut hai zillat-o-ruswai gham sunane mein tamam umr mera gham se bas raha rishta maza sa aane laga mujh ko zakhm khane mein suna hai rab use uqba mein bakhsh deta hai sazaen deta hai jis ko 'sahar' zamane mein