nigahon hi nigahon mein ishaare hote jate hain

nigahon hi nigahon mein ishaare hote jate hain
wo ab aahista aahista hamare hote jate hain

jo zahir husn ke rangin nazare hote jate hain
nigah-e-shauq mein wo aur pyare hote jate hain

khuda rakkhe hawadis ko talatum ko masaib ko
hamari zindagani ke sahaare hote jate hain

tumhaare gham ne aisa ehtiram-e-gham sikhaya hai
ki duniya bhar ke gham sare hamare hote jate hain

tasalli bhi badi mushkil se milti hai tasawwur mein
ghalat-fahmi salamat wo hamare hote jate hain

jahan soz-e-gham-e-furqat faza-e-dil ko jhulsa de
wahan khush-rang aansu bhi sharare hote jate hain

tere jalwon ne aisi tarbiyat di hai nigahon ko
nazar mein jazb ab sare nazare hote jate hain

gudaz-e-qalb ki daulat ata ki hai mohabbat ne
bahut shaista tere gham ke mare hote jate hain

koi shai jal rahi hai ghaaliban sine mein ai 'akhtar'
ki mere shabnami aansu sharare hote jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close