nahin milte jahan mein zaKHm-e-pinhan dekhne wale

nahin milte jahan mein zakhm-e-pinhan dekhne wale
bahut mil jaenge chaak-e-gareban dekhne wale

khuda jaane ye kya tasir hai zulf-e-pareshan mein
pareshan hain teri zulf-e-pareshan dekhne wale

nazar ke hosh ud jate hain baz-auqat ujale mein
nazar rakkhen andhere mein charaghan dekhne wale

tumhein tufan se kya nisbat tumhein sahil pe rahna hai
salamat hain abhi hum zor-e-tufan dekhne wale

yahan insaniyat ki nabz hai bechain rukne ko
khuda jaane kahan hain nabz-e-dauran dekhne wale

dil-e-pur-dard mein kuchh dagh raushan hum bhi rakhte hain
idhar aaen zara bazm-e-charaghan dekhne wale

tasawwur mein safar nazron ka kis se tai hua 'akhtar'
kahan hain un ko nazdik-e-rag-e-jaan dekhne wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close