nigahon ke aage dhuan hi dhuan hai

nigahon ke aage dhuan hi dhuan hai
haqiqat bhi sach mein fareb-e-guman hai

bashar ki hayati mein rakkha hi kya hai
hayat-e-bashar to ziyan hi ziyan hai

muqayyad zaman mein har ek aadmi hai
zaman hi ki harakat se qaem makan hai

khayalon ki duniya mein surat hai kitni
ghadi-bhar mein banda kahan tha kahan hai

wajudi shuhudi mabahis alag hain
khuda kyon hai kya hai alag dastan hai

hai lafzon ki duniya mein ibham-e-mani
mahal shish jaisa ye lughwi jahan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close