nigar-e-mah-wash o mahbub-e-lala-ru ki tarah koi to raat mere khwab-e-arzu ki tarah charagh-e-sham-e-tamanna ka rang kya kahiye laraz raha hai kisi harf-e-arzu ki tarah shaguft-e-gul ka tabassum bhi harf-e-dilkash hai magar kahan tere andaz-e-guftugu ki tarah bahal hi jaega dil nind aa hi jaegi hawa to de koi daman-e-mushk-bu ki tarah khulus-e-ishq hirasan hai ahl-e-duniya se kisi gharib ke ehsas-e-abru ki tarah hamare fan ka har ek naqsh be-sila ab tak khamosh hai kisi masum ke lahu ki tarah khizan ka maqtal-e-hasrat bhi didani hai 'shamim' pade hain phul shahidan-e-surkh-ru ki tarah