sare chaqmaq-badan aaya tha tayyari se raushni khub hui raat ki chingari se un darakhton ki udasi pe taras aata hai lakdiyan rang na dun aag ki pichkari se koi dawa bhi nahin karta masihai ka hum bhi aazad hue jate hain bimari se munh lagaya hi nahin aslaha-sazon ko kabhi main ne duniya ko haraya bhi to dildari se ishq bhi log numaish ke liye karte hain kya namazen bhi padhi jati hain ayyari se sara bazar chala aaya hai ghar mein phir bhi baz aate hain kahan log kharidari se aakhiri nind se pahle kahan samjhenge hum khwab se darna zaruri hai ki bedari se husn jis chhanw mein baitha tha wo qatil to na thi jal gae jism nigahon ki shajar-kari se kam-se-kam main to murid un ka nahin ho sakta jo pas-e-raqs-e-junun baithe hain hushyari se