nigar-khana-e-arz-o-sama mila ki nahin agar mila to koi dilruba mila ki nahin shikasta-dil ko zarurat hai khilkhilane ki payam-e-gul se tujhe hausla mila ki nahin siyah nind mein jalte hue charaghon ko kisi gali mein koi jagta mila ki nahin ruke hue to ruke hi rahenge ta-dam-e-marg jo chal pade the unhen rasta mila ki nahin kisi ko phul khilate hue mere ghar mein koi damakta hua aaina mila ki nahin shaguft-e-khwab se bhigi hui in aankhon mein koi sitara mere kaam ka mila ki nahin ghazal ko sab ke liye aaina banate hue kisi pari se tera qafiya mila ki nahin ruka tha aur kahan karwan-e-rahat-e-ishq phir us ke baad wo shirin-ada mila ki nahin sawal karte hain aksar mere adu 'sajid' ki is nagar mein koi aashna mila ki nahin