shab ke hain mah mehr hain din ke

shab ke hain mah mehr hain din ke
rup dekhe butan-e-kamsin ke

bose hain be-hisab har din ke
wade kyun talte ho gin gin ke

hain wo diwane jazb-e-baatin ke
utri hai shishe mein pari jin ke

ahl-e-dil dekhte hain aap ka munh
aaine mein safai baatin ke

dil rawan ho khayal-e-yar ke sath
jae maskan bhi sath sakin ke

lagharon par hai zulm-e-jaan-shikni
ai ajal todti hai kyun tinke

rahe kalkatta mein mukhir 'munir'
sadqe apne imam-e-zamin ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close