nikal kar dil se ek ek ki zaban tak baat ja pahunchi kahan ki baat thi lekin kahan tak baat ja pahunchi ghurur-e-husn un ko tha ghurur-e-ishq tha hum ko tajjub kya jo aakhir imtihan tak baat ja pahunchi mohabbat karne wale jaan par bhi khel jate hain wafa kaisi agar sud-o-ziyan tak baat ja pahunchi nazar sahwan uthi un par fasane ban gae kya kya zara si baat thi lekin kahan tak baat ja pahunchi hamare ishq ke charche kahin roke se rukte hain ab us ki is ki ek ek ki zaban tak baat ja pahunchi gila kaisa shikayat kyon pashemani se kya hasil jahan tak tum ne pahuncha di wahan tak baat ja pahunchi mohabbat lakh pardon mein bhi zahir ho gai aakhir dil-e-khamosh se har in-o-an tak baat ja pahunchi pahunchni thi lab-e-saqi se jo mujh rind-e-mai-kash tak tajjub hai wo zahid ki zaban tak baat ja pahunchi mohabbat do dilon ka raaz hum samjhe the ai 'shaida' na jaane kis tarah sare jahan tak baat ja pahunchi