ranj sahte hain gham uthate hain phir bhi hum muskurae jate hain tere kushton ki hai yahi ganga apne hi khun mein nahate hain zabt se lakh kaam le koi ishq ke raaz khul hi jate hain hum sa dushman na ho koi apna dosti ka fareb khate hain dil churaya nahin agar mera mujh se aankhen wo kyon churaate hain soz-e-ulfat ke dil-nashin naghme saz-e-dil par hi gae jate hain khush-dili aate aate aati hai ranj-o-gham jate jate jate hain rashk ki had hai ye ki hum un ko apni nazron se bhi chhupate hain manzil-e-dost aa gai 'shaida' panw kyon ladkhadae jate hain