nikal raha hai to phir mere jism-o-jaan se nikal jo darmiyan nahin rahna to darmiyan se nikal kabhi bhi main ne zamin par tujhe nahin dekha bulandiyon pe agar hai to aasman se nikal tera wajud sarapa ghazal sa lagta hai kabhi to sher ki surat meri zaban se nikal tamam umr hi rahna hai dhup mein mujh ko agarche sath mein chalna hai saeban se nikal tu mujh mein aa ke sama ja agar tu mera hai jo mera koi nahin hai to dastan se nikal