yunhi nazron se kahan ahl-e-nazar girte hain jin ki buniyaad nahin hoti wo ghar girte hain mere aangan ki chameli inhen roke rahna ye suna hai meri diwar se dar girte hain hath mein apne main shamshir liye phirta hun dil mein masum tamannaon ke sar girte hain wo bhi hijrat mein meri pher ke munh rota hai mere aansu bhi bahut waqt-e-safar girte hain wo hila deta hai yaadon ke shajar chupke se phir bhi pahle se kahan un se samar girte hain