nikali jae kis tarkib se taqrir ki surat wo aaine ki surat aur main taswir ki surat giraftar-e-mohabbat kar liya baaton hi baaton mein tasalsul se numayan ho gai zanjir ki surat ziyaada aaine se hai munawwar mushaf-e-ariz aur is par khal-e-mushkin aaya-e-tathir ki surat tere tewar badalte hi zamana ho gaya dushman hilal-e-id bhi zahir hua shamshir ki surat sitam ho jaega gar baal bhi beka hua us ka nikal kar aah sine se gai hai tir ki surat kabhi mithi nigahen hain kabhi tewar badalte hain na marta hun na jita hun ye hai tazir ki surat maza kya us but-e-be-pir se dil ke lagane ka jo khalwat mein ho but mahfil mein ho taswir ki surat khafa hote hi kuchh ka kuchh bhawon ka ho gaya naqsha kabhi khanjar ki surat aur kabhi shamshir ki surat jise mil jae khak-e-pak-e-dasht-e-karbala 'parwin' palat kar bhi na dekhe wo kabhi iksir ki surat