wo ek pal ka sath ba-waqt-e-namaz hai mahmud aasman pe zamin par ayaz hai jine mein kya kashish hai magar dekhte hain hum kitni tumhaare zulm ki rassi daraaz hai mana ki iltifat ke aadi nahin ho tum lekin barae-mashq-e-sitam kya jawaz hai us anjuman mein baat nahin ban saki magar allah ko suna hai bada karsaz hai apni kaho hamari suno mashwara karo ab kya gham-e-zamana mohabbat ka raaz hai apni ghalat wafa ki talafi karunga main wo aur honge jin ko wafaon pe naz hai dilkash bana raha hai 'muzaffar' ka khas rang haalanki dastan badi jaan-gudaz hai