nikalne ko hai dam mera magar hai aarzu baqi milenge khak mein lekin rahegi justuju baqi main apna raaz kahne ko bulaya tha tujhe hamdam magar afsos main hi rah saka aur hai na tu baqi ye duniya mitne wali hai to phir is par bharosa kya fana ho jaenge sare rahega tu hi tu baqi kiraman-katibin ja kar ye izrail se kahna thahar jao abhi kuchh yar se hai guftugu baqi wuzu zahid ka aab-e-ju se aur mera hai aansu se wuzu bah jaega us ka rahe mera wuzu baqi tahaarat jism ki go ho gai hai ghusl-e-zahir se safai ke liye dil ki abhi hai shust-o-shu baqi jala kar aatish-e-furqat ne dil ki khak udai hai nahin sine mein kuchh baqi magar hai ek hu baqi hilali kar diya tu ne 'qamar' ko ek chullu mein rahe mahshar talak saqi tera jam-o-subu baqi