kushta-e-naz-e-dil-ruba hain hum zakhmi-e-khanjar-e-ada hain hum kya kahen tum se hum ki kya hain hum mazhar-e-nur-e-kibriya hain hum aap par jab se mubtala hain hum khwesh-o-begane se juda hain hum aap hain apne husn par shaida aap apne hi par fida hain hum donon aalam se kuchh nahin matlab kucha-e-yar ke gada hain hum go ba-zahir hain surat-e-adam fil-haqiqat khuda-numa hain hum bas 'qamar' itna iftikhar hamein yar ke naqsh-e-kafsh-e-pa hain hum