nikalne wale na the zindagi ke khel se hum ki chain khinch ke utre the khud hi rail se hum raha nahin bhi wo karta to masala nahin tha farar yun bhi to ho jate us ki jail se hum sukhan mein shoabada-bazi ke hum nahin qail bandhe hue hain riwayat ki nakel se hum jise bhi dekho lubhaya hua hai duniya ka so bach gae hain miyan kaise is rakhel se hum agar ye tai hai ki farhad-o-qais murda-baad to baz aae mohabbat ki dagh-bel se hum akele rahte to shayad na dekhta koi sitara ho gae ek raushni ke mel se hum hum aise ped bas itni si baat par khush the ki bel hum se lipatti hai aur bel se hum khuda ne qar-e-falakat mein hum ko jhonk diya bigad gae the suhulat ki rel-pel se hum