kaenat-e-gham mein zehn ek khala hai khwab ka parinda jis mein ad raha hai raat kat gai hai subh ho gai hai dil ko dhundiye mat kab ka jal bujha hai dard ke sahaare kab talak chalenge sans ruk rahi hai fasla bada hai is jagah pe sab ne hath chhod dala ye maqam shayad manzil-e-wafa hai tutte badan mein dil ajib shai hai retili zamin mein phul khil raha hai kyun hawa nai badlin mere munh ki baaten main nai kuchh kaha hai us nai kuchh suna hai teri kya ye haalat ho gai hai 'mamun' khud hi kah raha hai khud hi sun raha hai