nikhar saki hai na gul ki na khar ki surat bahaar ab ke na aai bahaar ki surat na jaane kaun si sarsar chali ki gulshan mein uda diya hamein musht-e-ghubar ki surat janab-e-shaikh dikhaen mudahanat kaise na rah gai koi baqi farar ki surat ye us ke chehre se kuchh bhi pata na chalta tha ki wo adu ki hai surat ki yar ki surat tu hai hamara wafadar ya raqib ka hai dikha de ab to koi aar-par ki surat