na raste hue raushan na tirgi kam hai ek aur shama jalao ki raushni kam hai bas ek shuur nahin dusron ke dukh ka kuchh wagarna ye nahin insan mein aagahi kam hai mai-e-aziyyat-e-dauran se hosh gum na kiye ghataen ho gain halki na hum ne pi kam hai khinche tumhaari taraf kis tarah se dil apna ki tum mein ab bhi miyan shan-e-dilbari kam hai dilon se ab bhi sharare nikal to sakte hain magar jo shoale uthati wo aag hi kam hai payam deti hai 'azhar' ye gardish-e-shab-o-roz ki jald kar lo jo kar pao zindagi kam hai