nikhat-e-gul se bu-e-yar aae ab ke yun fasl-e-nau-bahaar aae hum ko milta bhi kya ki khud hum hi le ke daman tar-tar aae hum khataon ka kar chuke iqrar ab ye kyon aap sharmsar aae aae diwana-war baad-e-saba hosh udati hui bahaar aae ahl-e-wahshat ki bazm mein 'kazim' ban ke diwane hoshiyar aae