phir hujum-e-gham-e-jaanan hai khuda khair kare phir meri maut ka saman hai khuda khair kare un ko sujhi hai taghaful ki riwayat-e-kuhan zindagi mujh se gurezan hai khuda khair kare khul na jae kahin aise mein sitaron ka bharam wa naqab-e-rukh-e-jaanan hai khuda khair kare apni hi aag mein jal jae na daman-e-hayat har nafas shoala-ba-daman hai khuda khair kare ye jawani ye tabassum ye nigahon ka fusun kashmakash mein mera iman hai khuda khair kare dast-e-nazuk mein tere rang-e-hina ke badle surkhi-e-khun-e-shahidan hai khuda khair kare pichhe pichhe chale aate hain mere dair-o-haram samne manzil-e-jaanan hai khuda khair kare aaj phir dil ka har ek zakhm ubhar aaya hai aaj phir koi ghazal-khwan hai khuda khair kare rang la kar hi rahi agli jawani 'mukhtar' dast-e-wahshat mein gareban hai khuda khair kare