nikla hun shahr-e-khwab se aise ajib haal mein gharb mere junub mein sharq mere shumal mein koi kahin se aae aur mujh se kahe ki zindagi teri talash mein hai dost baitha hai kis khayal mein dhundte phir rahe hain sab meri jagah mera sabab koi hazar mil mein koi hazar sal mein lafzon ke ikhtisar se kam to hui saza meri pahle kahaniyon mein tha ab hun main ek misal mein mez pe roz subh-dam taza gulab dekh kar lagta nahin ki ho koi mujh sa mere ayal mein phul kahan se aae the aur kahan chale gae waqt na tha ki dekhta paudon ki dekh-bhaal main kamron mein bistaraon ke bich koi jagah nahin bachi khwab hi khwab hain yahan aaankhon ke haspatal mein gurg-o-samand o mush-o-sag chhant ke ek ek rag phirte hain sab alag alag rahte hain ek khaal mein