pedon se baat-chit zara kar rahe hain hum nadida doston ka pata kar rahe hain hum dil se guzar raha hai koi matami julus aur is ke raste ko khula kar rahe hain hum ek aise shahr mein hain jahan kuchh nahin bacha lekin ek aise shahr mein kya kar rahe hain hum palken jhapak jhapak ke udate hain nind ko soe huon ka qarz ada kar rahe hain hum kab se khade hue hain kisi ghar ke samne kab se ek aur ghar ka pata kar rahe hain hum ab tak koi bhi tir taraazu nahin hua tabdil apne dil ki jagah kar rahe hain hum hathon ke irtiash mein baad-e-murad hai chalti hain kashtiyan ki dua kar rahe hain hum wapas palat rahe hain azal ki talash mein mansukh aap apna likha kar rahe hain hum 'adil' saje hue hain sabhi khwab khwan par aur intizar-e-khalq-e-khuda kar rahe hain hum