nikle chale aate hain tah-e-KHak se khane

nikle chale aate hain tah-e-khak se khane
ye khwan-e-karam kis ne bichhaya hai khuda ne

jo dil mein hai munh phod ke barwar nahin kahte
mara mujhe yaron ki durust aur baja ne

ghaflat mein hain sar-mast badalte nahin karwat
go sar pe utha li hai zamin shor-e-dara ne

israf ne arbab-e-tamawwul ko duboya
aalim ko tafakhur ne to zahid ko riya ne

mard us ko samajhte na kiya ho jise badmast
ayyam-e-jawani ki mai-e-hosh-ruba ne

ba-in-hama darmandagi insan ke ye dawe
kya zat-e-sharif in ko banaya hai khuda ne

jalwat ka bharosa hai na khalwat ki tawaqqo
sab wahm tha yaron ne jo take the thikane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close