nikli hai jab kabhi tere band-e-qaba ki baat

nikli hai jab kabhi tere band-e-qaba ki baat
daman ko chaak karne lage hain junun ke hat

ek ajnabi ki tarh mile hain wo hum se aaj
kahne padenge ‘ahd-e-guzashta ke waqi’at

yaadon ke mahtab tamannaon ke hujum
sabit hue tamam shab-e-hijr be-sabaat

daman-kashan wo hum se guzarte hain dosto
kahte the jo hamin ko kabhi hasil-e-hayat

deta raha hun main jinhen tere sitam ka nam
yaad aa rahi hain ab wahi pichhli nawazishat

tanhaiyon mein hijr ki yaad aa gaya hai kaun
khulne lage hain zakhm mahakne lagi hai raat

kaise bachaen daman-e-ehsas-o-agahi
lau de uthi hai aaj to khamoshi-e-hayat

apni wafa ka hum ko sila kya mile 'matin'
pahchanti nahin hai hamein chashm-e-iltifat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close