rasta ab rokne wala ye mera kaun hai wo nahin hai dusra phir us ke jaisa kaun hai kaun hai mamur meri mukhbiri par in dinon meri khatir ye pas-e-diwar thahra kaun hai kaun mere ru-ba-ru hai aaina-dar-aina mere pichhe chal raha hai jo ye saya kaun hai jin se thi pahchan wo sab ja base hain dur des meri basti mein raha mera shanasa kaun hai tum se wabasta tumhaare chahne wale bahut puchhta hun main batao mere jaisa kaun hai har qadam har sans par mazbut hai us ki giraft mere pichhe ye pada mere khudaya kaun hai tut kar bikhra hai mere hath se mera wajud is jahan mein mujh sa mahrum-e-tamanna kaun hai khun ke rishte bhi jhute ho gae sabit 'matin' kis ko main apna kahun mera shanasa kaun hai