nikli wo zindagi se to pamal ho gaya jaise ruwan ruwan mera kangal ho gaya bigda hua hai hijr mein kuchh waqt ka nizam lamha guzar na paya ki ek sal ho gaya mushkil hai ye hisab kai hijraton ke baad achchha hai mera haal ki bad-haal ho gaya bas yun hi ek ghazal si use dekh kar hui phir is ke baad pyar ka janjal ho gaya main jab gulab chum raha tha to dekh kar chehra kisi ka sharam se kyun lal ho gaya