nil-e-falak ke ism mein naqsh-e-asir ke sabab hairat hai aab-o-khak mein mah-e-munir ke sabab ban mein alahidgi si hai us ke jamal-e-sabz se daim faza firaq ki shajar-e-pir ke sabab wusat-e-shahr-e-tang-dil sarma ki subh-e-sard mein jagi hai dar ke khwab se surat-e-faqir ke sabab sahn-e-makan mein shal hai dast-e-dua-e-agahi dil mein hai shauq-e-be-hisab had ki lakir ke sabab zakhm-e-wajud ki dawa bas wahi aakhiri sada zinda hun jis ke shauq mein sabr-e-kabir ke sabab sehr hai maut mein 'munir' jaise hai sehr-e-aina sari kashish hai chiz mein apni nazir ke sabab