sab ko duniya ki hawas khwar liye phirti hai kaun phirta hai ye murdar liye phirti hai ghar se bahar na nikalta kabhi apne khurshid hawas-e-garmi-e-bazar liye phirti hai wo mere akhtar-e-tale ki hai wazhun gardish ki falak ko bhi nigun-sar liye phirti hai kar diya kya tere abru ne ishaara qatil ki qaza hath mein talwar liye phirti hai ja ke ek bar na phirna tha jahan wan mujh ko be-qarari hai ki sau bar liye phirti hai