nim bismil ki kya ada hai ye aashiqo lotne ki ja hai ye shab-e-wasl-e-sanam wila hai ye bose honton ki le maza hai ye dil ko kyun paemal karte ho na to sabza hi na hina hai ye kat kar sar lagaiye thokar qatl-e-ashiq ka khun-baha hai ye dud-e-dil kyun na rashk-e-sumbul ho aatish-e-husn se jala hai ye zulf mein kyun na dil rahe bedar lailatul-qadr se siwa hai ye aankhen us ki siyah hain az-khud tutiya kis ka tutiya hai ye kya hai nam-e-khuda hai mera sanam but jise kahte hain khuda hai ye zulf mein dil mudam rahta hai dekhna kis ke sar chadha hai ye dar pe nalan jo hun to kahta hai puchho kya chiz bechta hai ye chumta hun main apne dil ke qadam bosa-e-yar ka gada hai ye dafn masjid mein mere dil ko karo taq-e-abru pe mar gaya hai ye taq-e-abru-e-yar ko dekhun ain kabe mein iltija hai ye qad-e-jaanan nahin qayamat hai zulf-e-jaanan nahin bala hai ye go sanam murde zinde karta hai kaun kafir kahe khuda hai ye ho shahadat nasib 'goya' ko fidwi-e-shah-e-karbala hai ye