nim ke patton ka zakhmon ko dhuan de dijiye phir meri aankhon ko pahre-dariyan de dijiye ho sake to ye nawazish hum faqiron par karen bujhte rangon ka hamein ye aasman de dijiye shab-paraston ko bhi taskin-e-ana mil jaegi un ka haq hai un ko shab-bedariyan de dijiye shakh par kanton ko pairahan badalne ke liye mausamon ko shabnami be-samtiyan de dijiye be-hisi ka khushk sa sahra hai aankhon mein meri dhul-e-manzar se to kuchh tughyaniyan de dijiye dhundalke to nauha-khwani mein bahut masruf hain raat zakhmi hai use baisakhiyan de dijiye aarizi mausam ko bhi ehsas-e-mahrumi na ho ghar ke sannaton ko ehsas-e-ziyan de dijiye dhup mein thodi si gunjaish nikal aae to 'rind' ek mutthi chhanw ka hi saeban de dijiye