har sans hai ek naghma har naghma hai mastana kis darja dukhe dil ka rangin hai afsana jo kuchh tha na kahne ka sab kah gaya diwana samho to mukammal hai ab ishq ka afsana do zindagiyon ka hai chhota sa ye afsana lahraya jahan shoala andha hua parwana in ras bhari aaankhon se masti jo tapakti hai hoti hai nazar saqi dil banta hai paimana virane mein diwana ghar chhod ke aaya tha jab hoga na diwana ghar dhundhega virana afsana gham-e-dil ka sunne ke nahin qabil kah dete hain sab hans kar diwana hai diwana jab ishq ke maron ka pursan hi nahin koi phir donon barabar hain basti ho ki virana ye aag mohabbat ki pani se nahin bujhti phir shama se ja lipta jalta hua parwana